dil zulf-e-butan mein hai giraftar hamara 
is dam se hai chhuTna dushwar hamara 
bazar-e-jahan mein hain ajab jins-e-zabun hum 
koi nahin ai wae KHaridar hamara 
thi dawar-e-mahshar se tawaqqo so tujhe dekh 
wo bhi na hua hae taraf-dar hamara 
kyunkar na dam-e-sard bharen hum ki har ek se 
milta hai bahut garm kuchh ab yar hamara 
tujh bin use ye samjhen ki hai shola-e-dozaKH 
gar ho gul-e-jannat gul-e-dastar hamara 
'rasiKH' ye pas-e-marg bhi hamrah rahega 
hai yar ka gham yar-e-wafadar hamara
        Ghazal
Dil zulf-e-butan mein hai giraftar hamara
Rasikh Azimabadi

