اردو हिंदी
Dil ye kahta hai haar kar dekhen | Shaahi Shayari
dil ye kahta hai haar kar dekhen

Ghazal

Dil ye kahta hai haar kar dekhen

Moid Rashidi

;

dil ye kahta hai haar kar dekhen
KHud ko tujh mein utar kar dekhen

koi aata hai ya nahin aata
aaj KHud ko pukar kar dekhen

zindagi ke baghair bhi hum log
ek lamha guzar kar dekhen

hausla chahiye bikharne mein
aao KHud ko ghubar kar dekhen

tirgi ruh tak chali aai
raushni ka hisar kar dekhen

ghaib se aaegi hawa chal kar
mausam-e-gul pukar kar dekhen