dil wahi dil jise nashad kiye jata hun
yani rah rah ke unhen yaad kiye jata hun
sai-e-zabt-e-gham-e-bedad kiye jata hun
puKHta-tar ishq ki buniyaad kiye jata hun
dil ko waqf-e-gham-e-bedad kiye jata hun
apna ghar aap hi barbaad kiye jata hun
ek wo hain ki taghaful se nahin un ko gurez
ek main hun ki unhen yaad kiye jata hun
kya ye kam zulm hai kuchh ghaur to kije dil mein
aap hanste hain main fariyaad kiye jata hun
bhul kar ahd-e-guzishta ki hikayat 'shakil'
dil ko har fikr se aazad kiye jata hun
Ghazal
Dil wahi dil jise nashad kiye jata hun
Shakeel Badayuni