اردو हिंदी
Dil wahi ashk-bar rahta hai | Shaahi Shayari
dil wahi ashk-bar rahta hai

Ghazal

Dil wahi ashk-bar rahta hai

Ibn-e-Mufti

;

dil wahi ashk-bar rahta hai
gham se jo ham-kanar rahta hai

main ne dekha KHirad ke kandhon par
ek junun sa sawar rahta hai

lab tabassum mein ho gae mashshaq
dil magar sogwar rahta hai

ek lamhe bhi soch lun un ko
muddaton ek KHumar rahta hai

dil rahe be-kali ke ghere mein
zehn pe tu sawar rahta hai

tere KHwabon ki lat lagi jab se
raat ka intizar rahta hai

sach ke dhage se jo bane rishta
umr bhar ustuwar rahta hai

tere dil ne bhi paDh liya kalma
jis mein ye gunahgar rahta hai

jab se joDa hai aap se rishta
daman-e-tar, tar rahta hai

wo tasawwur mein ek ghaDi aaen
der tak dil bahaar rahta hai

chand se is liye hai pyar mujhe
ye bhi yaron ka yar rahta hai

ghar mein aate hi mah-jabin ne kaha
yan to aKHtar shumar rahta hai

ab to kar Daliye wafa us ko
wo jo wada udhaar rahta hai

ek taraf gardishen zamane ki
ek taraf tera pyar rahta hai

tere dar se juDa hua muflis
ishq mein mal-dar rahta hai

man ne de di dua to hashr talak
us ka bandha hisar rahta hai

dil mein sajde kiya karo 'mufti'
is mein parwardigar rahta hai