dil TuT chuka tar-e-nazar TuT raha hai
qiston mein musafir ka safar TuT raha hai
har rose badalta hai naya rang zamana
har shaKHs ba-andaz-e-digar TuT raha hai
tu ghaur se dekhe to ye malum ho tujh ko
jo kuchh hai tere pesh-e-nazar TuT raha hai
kya jaaniye kyun log tashaddud pe utar aae
dastar bachate hain to sar TuT raha hai
manzil hai ki ojhal hai nigahon se abhi tak
rasta hai ki ta-hadd-e-nazar TuT raha hai
jo war bhi karta hai wo kari nahin hota
qatil ka mere zoam-e-hunar TuT raha hai
kuchh aise 'shafiq' ab ke hue waqt se pamal
parwaz ka zamin tha jo par TuT raha hai
Ghazal
Dil TuT chuka tar-e-nazar TuT raha hai
Shafiq Dehlvi