dil tujhe naz hai jis shaKHs ki dildari par
dekh ab wo bhi utar aaya adakari par
main ne dushman ko jagaya to bahut tha lekin
ehtijajan nahin jaga meri bedari par
aadmi aadmi ko khae chala jata hai
kuchh to tahqiq karo is nai bimari par
kabhi is jurm pe sar kaT diye jate the
ab to inam diya jata hai ghaddari par
teri qurbat ka nasha TuT raha hai mujh mein
is qadar sahl na ho tu meri dushwari par
mujh mein yun taza mulaqat ke mausam jage
aaina hansne laga hai meri tayyari par
koi dekhe bhare bazar ki virani ko
kuchh na kuchh muft hai har shai ki KHaridari par
bas yahi waqt hai sach munh se nikal jaane do
log utar aae hain zalim ki taraf-dari par
Ghazal
Dil tujhe naz hai jis shaKHs ki dildari par
Saleem Kausar