dil teri yaad mein har lamha taDapta bhi nahin
band ho jae taDapna ye gawara bhi nahin
wo nahin pas to ehsas-e-rifaqat hai siwa
gham-e-tanhai ke zindan mein main tanha bhi nahin
dasht diwanon se aabaad hue jate hain
ab to jagir kisi qais ki sahra bhi nahin
sang-e-dushnam baraste rahe har jaanib se
saKHt-jaan dil hi kuchh aisa tha ki TuTa bhi nahin
kar to lun tark-e-tamanna ka irada lekin
qahr ye hai wo fusun-gar sitam-ara bhi nahin
rang kyun uD gaya gulshan ke hawa-daron ka
garm jhonka koi is rah se guzra bhi nahin
sard hai marg-sifat misr-e-junun ka bazar
KHwab-e-yusuf bhi nahin KHwab-e-zuleKHa bhi nahin
Ghazal
Dil teri yaad mein har lamha taDapta bhi nahin
Ehtisham Husain