dil tha ki gham-e-jaan tha
main KHud se pasheman tha
main ne use chaha to
wo mujh se gurezan tha
fitrat ke ishaare par
jo naqsh tha raqsan tha
haalat ke hathon mein
kyun mera gareban tha
kal mere tasarruf mein
ek aalam-e-imkan tha
main KHud se chhupa lekin
us shaKHs pe uryan tha
kyun shahr-e-nigaran mein
aaghaz pareshan tha
Ghazal
Dil tha ki gham-e-jaan tha
Aghaz Barni