dil soz se KHali hai nigah pak nahin hai
phir is mein ajab kya ki tu bebak nahin hai
hai zauq-e-tajalli bhi isi KHak mein pinhan
ghafil tu nira sahib-e-idrak nahin hai
wo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan
purkar o suKHan-saz hai namnak nahin hai
kya sufi o mulla ko KHabar mere junun ki
un ka sar-e-daman bhi abhi chaak nahin hai
kab tak rahe mahkumi-e-anjum mein meri KHak
ya main nahin ya gardish-e-aflak nahin hai
bijli hun nazar koh o bayaban pe hai meri
mere liye shayan KHas-o-KHashak nahin hai
aalam hai faqat momin-e-jaan-baz ki miras
momin nahin jo sahib-e-laulak nahin hai
Ghazal
Dil soz se Khaali hai nigah pak nahin hai
Allama Iqbal