dil si virani mein saya koi mehman to hai
apne KHwabon se mulaqat ka imkan to hai
kuchh na kuchh nazr to karna hai tere jalwe ko
aur daulat na sahi koi dil-o-jaan to hai
kya milega hamein ab us ki pashemani se
bewafai pe koi apni pasheman to hai
yun na ho KHud se nibhana tumhein mushkil ho jae
hum ko nazron se girana bahut aasan to hai
qafile walon ko gumrahi ka ehsas hua
kam se kam ab kisi anjam ka imkan to hai

Ghazal
Dil si virani mein saya koi mehman to hai
Mushtaq Naqvi