dil shahr-e-tahayyur hai ki wo mamlikat-ara
kya saltanat-e-balKH-o-samarqand-o-buKHara
mubham hai teri chashm-e-karam dekh to yun dekh
jis tarah lipaT jae sitare se sitara
ek chand hai aawara-o-betab o falak-tab
ek chand hai aasudgi-e-hijr ka mara
kuchh darKHur-e-jaan hai to yahi kunj-e-mulaqat
ye aalam-e-KHaki na hamara na tumhaara
zanjir-e-giran-bar hai ye ishrat-e-sahil
bahta hai to rukta hi nahin waqt ka dhaara
juz hasrat-e-be-nam nahin gardish-e-KHun ab
chandi jo hue baal mila zabt ka yara
Ghazal
Dil shahr-e-tahayyur hai ki wo mamlikat-ara
Syed Amin Ashraf