dil se ya gulsitan se aati hai
teri KHushbu kahan se aati hai
kitni maghrur hai nasim-e-sahar
shayad us aastan se aati hai
KHud wahi mir-e-karwan to nahin
bu-e-KHush karwan se aati hai
un ke qasid ka muntazir hun main
ai ajal! tu kahan se aati hai
shikwa kaisa ki har bala ai dost!
jaanta hun jahan se aati hai
ho chukin aazmaishen itni
sharm ab imtihan se aati hai
ain diwangi mein yaad aaya!
aql ishq-e-butan se aati hai
teri aawaz gah gah ai dost!
parda-e-saz-e-jaan se aati hai
dil se mat sarsari guzar ki 'rais'
ye zamin aasman se aati hai
Ghazal
Dil se ya gulsitan se aati hai
Rais Amrohvi