dil se puchho kya hua tha aur kyun KHamosh tha
aankh mahw-e-did thi itna mujhe bas hosh tha
wo bhi kya tasir thi jis ne hilae sab ke dil
kya bataun wo mera hi nala-e-pur-josh tha
mahfil-e-saqi mein tha kuchh aur hi maston ka rang
koi saghar DhunDhta tha aur koi behosh tha
kya ajab hai jaeza le mai-paraston ka koi
yaad rakhna saqiya mujh sa bhi ek mai-nosh tha
kya samajh sakta tha koi tere diwane ki chup
jab kisi ne us se kuchh puchha to bas KHamosh tha
be-KHudi se nashsha-e-jam-e-KHudi utra to phir
ek hi saghar mila aisa ki main madhosh tha
ek hamin ko saqiya puchha na tu ne daur main
warna mai-KHane mein tere shor nosha-nosh tha
kis qadar tha ishtiyaq-e-manzil-e-maqsud use
marne wale ka janaza aaj dosha-dosh tha
zindagi-bhar ke gunahon se ye thi sharam ai ajal
tarik-e-hasti yahan se jab chala ru-posh tha
ghunche kyun KHamosh aae gulshan-e-hasti mein 'shauq'
mausam-e-gul se magar KHauf-e-KHizan ham-dosh tha

Ghazal
Dil se puchho kya hua tha aur kyun KHamosh tha
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq