dil se nikal na paegi mauj-e-hawas ki bas
is tarah khinchti hai ye tar-e-nafas ki bas
phir yun hua ki raushni nazil hui wahan
phir dekhte hi khul gaya chaak qafas ki bas
main barf ki chaTan hun tu garm-rau charagh
mat puchh mujh pe kya hai teri dastaras ki bas
dam-saz to bahut hain koi shanas ho
koi tapish si hai tah-e-mauj-e-nafas ki bas
sahra mere mizaj ka hissa hai phir bhi aaj
ek abr-zad ne kiya is tarah mas ki bas

Ghazal
Dil se nikal na paegi mauj-e-hawas ki bas
Yahya Khan Yusuf Zai