اردو हिंदी
Dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen | Shaahi Shayari
dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen

Ghazal

Dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen

Moin Ahsan Jazbi

;

dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen
mansur kya banen hawas-e-dar kya karen

ab kya sunaen yusuf o zindan ki dastan
phir garm jins-e-dard ka bazar kya karen

wo saghar-e-nashat ho ya jam-e-zahr-e-gham
saqi ne jab diya ho to inkar kiya karen

dekhe na apne sath jo koi to kya dikhaen
samjhe na koi baat to israr kya karen

'jazbi' nigah mein hai barahana-siri ki shan
hum ehtiram-e-turra-e-dastar kya karen