dil sambhalta nahin sambhaale se
yun dhaDakta hai ek hawale se
dudhiya ho gai faza sari
chandni raat ke ujale se
saqiya la mujhe surahi de
pyas bujhti nahin piyale se
goriyan kar rahi hain puja-paT
ghanTiyan baj uThin shiwale se
bu hai barud ki fazaon mein
khetiyan bhi jalin jwale se
wo jo do waqt ka rahe bhuka
mutmain kya ho do niwale se

Ghazal
Dil sambhalta nahin sambhaale se
Qamruddeen Khurshid