اردو हिंदी
Dil salamat agar apna hai to dildar bahut | Shaahi Shayari
dil salamat agar apna hai to dildar bahut

Ghazal

Dil salamat agar apna hai to dildar bahut

Meer Mohammadi Bedar

;

dil salamat agar apna hai to dildar bahut
hai ye wo jins ki jis ke hain KHaridar bahut

ek main hi tere kuche mein nahin hun betab
sar paTakte hain KHabar le pas-e-diwar bahut

dekhiye kis ke lage hath tera gauhar-e-wasl
is tamanna mein to phirte hain talabgar bahut

kahin nargis ko magar tu ne dikhain aankhen
nahin bachte nazar aate hain ye bimar bahut

kya karun kis se kahun haal kidhar ko jaun
tang aaya hun tere hath se dildar bahut

apne aashiq se kiya puchho to kaise ye suluk
aur bhi shahr mein hain tujh se trahdar bahut

tere aate to koi phul na hoga sarsabz
kya hua bagh mein go phule the gulzar bahut

ek din tujh ko dikhaunga main in KHuban ko
dawa-e-yusufi karte to hain izhaar bahut

jurm-e-bosa pe jo 'bedar' ko mara mara
na karo jaane do is baat pe takrar bahut