dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai
is ke baad ye basti KHali rah jati hai
be-KHwabi kab chhup sakti hai kajal se bhi
jagne wali aankh mein lali rah jati hai
tir taraazu ho jata hai aa kar dil mein
hathon mein zaitun ki Dali rah jati hai
dhup se rang aur hawa se kaghaz uD jate hain
zehn mein ek taswir KHayali rah jati hai
kabhi kabhi to 'azhar' bilkul mar jata hun
bas ek miTTi oDhne wali rah jati hai
Ghazal
Dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai
Azhar Adeeb