اردو हिंदी
Dil pukara phans ke ku-e-yar mein | Shaahi Shayari
dil pukara phans ke ku-e-yar mein

Ghazal

Dil pukara phans ke ku-e-yar mein

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

dil pukara phans ke ku-e-yar mein
rok rakkha hai mujhe gulzar mein

farq kya maqtal mein aur gulzar mein
Dhaal mein hain phul phal talwar mein

lutf duniya mein nahin takrar mein
lekin un ke bosa-e-ruKHsar mein

tha jo shab ko saya-e-ruKHsar mein
tazgi kitni hai basi haar mein

fart-e-mayusi ne murda hasraten
dafn kar di hain dil-e-bimar mein

shad ho jati hai duniya ai rupe
kya karamat hai teri jhankar mein

aatish-e-ulfat ki dhaDkan baDh gai
gir paDa dil shola-e-ruKHsar mein

aah ke qabze mein hai tasir ya
tegh hai dast-e-alam-bardar mein

nashtar-e-mizhgan ki tezi ke sabab
ek kanTa hai dil-e-pur-KHar mein

aab-e-paikan pas hai lekin nasib
phir bhi KHushki hai lab-e-sofar mein

KHair ho 'parwin' dil-e-muztar mera
le chala phir kucha-e-dildar mein