dil phaDak jaega wo shoKH jo KHandan hoga
apne KHirman ko na is barq se nuqsan hoga
subh-e-mahshar ka agar chaak gareban hoga
mere matam mein sar-e-hur bhi uryan hoga
munkir-e-sajda-e-adam ko pashemani hai
wo na samjha tha ki ye rutba-e-insan hoga
KHak suljhegi teri zulf meri jaanib se
kaun juz baad-e-saba silsila-e-jumban hoga
husn ke rashk se ho jaenge gul zard o safed
aur hi aalam-e-gul-ha-e-gulistan hoga
chashm-e-kafir se tere honge musalman kafir
KHam-e-abru se sanam gabr musalman hoga
jab 'shuur' us se kaha zaKHm-e-jigar kari hai
kaj-adai se wo yun kahne laga han hoga

Ghazal
Dil phaDak jaega wo shoKH jo KHandan hoga
Shuoor Balgirami