dil par rakho nigah jigar par nazar karo
maqdur ho to zat mein apni safar karo
hangam-e-KHair-maqdam-e-subh-e-nashat hai
parwana-war sham se raqs-e-sharar karo
zanjir toDna bhi baDa kaam tha magar
fursat mein ho to zinat-e-diwar-o-dar karo
mayus-kun hai aalam-e-imkan abhi to kya
duniya-e-mumkinat pe apni nazar karo
jo gham bhi de hayat KHushi se qubul ho
itna to ehtimam gham-e-mo'tabar karo
apnon ko to nibahane wale hazar hain
insan ho to dil mein adu ke bhi ghar karo
jata nahin ye tir kisi haal mein KHata
har marhala hayat ka ulfat se sar karo
sab luT rahe hain bar-sar-e-bazar in dinon
kis se kahen ki qadr-e-mata-e-hunar karo
ek rahguzar manzil-e-masti hai mai-kada
har rind ko KHushi se sharik-e-safar karo
ai 'dil' bahut KHarab hain haalat shahr ke
yan jis kisi se baat karo muKHtasar karo
Ghazal
Dil par rakho nigah jigar par nazar karo
Dil Ayubi