dil o nigah pe tari rahe fusun us ka
tumhaara ho ke bhi mumkin hai main rahun us ka
zamin ki KHak to kab ki uDa chuke hain hum
hamari zad mein hai ab charKH-e-nil-gun us ka
tujhe KHabar nahin is baat ki abhi shayad
ki tera ho to gaya hun magar main hun us ka
ab us se qat-e-talluq mein behtari hai meri
main apna rah nahin sakta agar rahun us ka
dil-e-tabah ki dhaDkan bata rahi hai 'raza'
yahin kahin pe hai wo shahr-e-pur-e-sukun us ka
Ghazal
Dil o nigah pe tari rahe fusun us ka
Akhtar Razaa Saleemi