dil-o-nigah pe jis ko ho iKHtiyar chale
rah-e-wafa mein koi bhi na KHam-kar chale
hamein rawish pe zamane ki e'tibar nahin
hamare sath zamana hazar bar chale
hum apne waqt ke aaqa hum apne daur ke shah
magar KHuda na kare apni pesh-e-yar chale
ye rahrawan-e-mohabbat hi KHub jaante hain
ki farsh-e-gul pe chale ya ba-nok-e-KHar chale
na rahbar pe nazar aur na manzilon ki KHabar
tere qadam-ba-qadam tere jaan-nisar chale
hamare baad ke logon pe jaane kya guzre
'rais' hum to baDe chain se guzar chale

Ghazal
Dil-o-nigah pe jis ko ho iKHtiyar chale
Raees Niyazi