dil-o-nigah ko viran kar diya main ne
shikast-e-KHwab ka elan kar diya main ne
jo tir aae the us ki taraf se sine par
saja ke zaKHmon ka gul-dan kar diya main ne
ghamon ka taj mere sar pe jab se rakkha hai
KHud apne aap ko sultan kar diya main ne
na koi phul hi rakha na aarzu na charagh
tamam ghar ko bayaban kar diya main ne
wo chahta tha ki sab kuchh luTa ke zinda rahun
lo aaj pura ye arman kar diya main ne
main zad pe tiron ke KHud aa gaya hun aaj 'zafar'
tere nishane ko aasan kar diya main ne
Ghazal
Dil-o-nigah ko viran kar diya maine
zafar iqbal zafar