اردو हिंदी
Dil ne meri nahin suni tauba | Shaahi Shayari
dil ne meri nahin suni tauba

Ghazal

Dil ne meri nahin suni tauba

Qamar Abbas Qamar

;

dil ne meri nahin suni tauba
kya ajab hai ye be-dili tauba

main ne KHud ko niDhaal kar Dala
KHush na aai ye aashiqi tauba

qatl karte hain aadamiyat ka
aise hote hain aadmi tauba

wo jo rahti thi KHandanon mein
ab sharafat bhi mar gai tauba

ek dariya ko pi liya hum ne
phir bhi baqi hai tishnagi tauba

be-KHudi to zara ghanimat thi
jaan-lewa hai aagahi tauba

jite rahna tere tasawwur mein
zindagi hai ki KHud-kushi tauba

daur-e-hangama-e-jahan se 'qamar'
kaise guzregi zindagi tauba