dil ne ek aah bhari aankh mein aansu aae
yaad gham ke hamein kuchh aur bhi pahlu aae
zulmat-e-shab mein hai ru-posh nishan-e-manzil
ab mujhe rah dikhane koi jugnu aae
dil ka har zaKHm teri yaad ka ek phul bane
mere pairahan-e-jaan se teri KHushbu aae
tishna-kaamon ki kahin pyas bujha karti hai
dasht ko chhoD ke ab kaun lab-e-ju aae
ek parchhain tasawwur ki mere sath rahe
main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae
main yahi aas liye gham ki kaDi dhup mein hun
dil ke sahra mein tere pyar ka aahu aae
dil pareshan hai 'gulnar' to mahaul udas
ab zarurat hai koi mutrib-e-KHush-KHu aae
Ghazal
Dil ne ek aah bhari aankh mein aansu aae
Gulnar Aafreen