dil mein utri hai nigah rah gain bahar palken
kya KHadang-e-nigah-e-yar ki hain par palken
fart-e-hairat se ye be-his hain sarasar palken
ki huin aaina-e-chashm ki jauhar palken
ye daraazi hai ki wo shoKH jidhar aankh uThae
ja pahunchti hain nigahon ke barabar palken
kya tamasha hai ki Dale mere dil mein suraKH
aur KHun mein na huin un ki kabhi tar palken
nargis us ghairat-e-gul-zar se kya aankh milae
aankh bhi wo ki nahin jis ko mayassar palken
hai gham-e-marg-e-adu bhi but-e-kafir ka banaw
qatra-e-ashk se hain rishta-e-gauhar palken
chaT deta hai tera dil unhen KHun-rezi ki
tez karti hain isi sang pe KHanjar palken
li gain dil ko wo duzdida nigahen ab yan
kya dhara hai jo chaDha lati hain lashkar palken
kina kuchh shart nahin un ki dil-azari ko
nish-e-aqrab hain teri shoKH sitam kar palken
hai yahi girya-e-KHunin to kisi din 'nazim'
yun hi rah jaengi aapas mein jhapak kar palken
Ghazal
Dil mein utri hai nigah rah gain bahar palken
Syed Yusuf Ali Khan Nazim