dil mein umang aur irada koi to ho
be-kaif zindagi mein tamasha koi to ho
ye kya ki dafn ho gae chup-chap qabr mein
marne ke baad maut ka jalsa koi to ho
koi to nam le ke pukare hamein yahan
is bhiD mein hamara shanasa koi to ho
milti nahin hai KHak kahin sar pe Dalne
dariya bahut se dekhe hain sahra koi to ho
aankhon mein nur hai na halawat zaban mein
ahbab itne sare hain miTha koi to ho
baaton se aql-o-fahm ki tang aa chuka hun main
danish-kade mein ek diwana koi to ho
ye sach hai main hun qaid KHayalon mein KHwab mein
jine ke waste mere duniya koi to ho
mar kar dawam panw ye ummid to nahin
meri kahani baad mein kahta koi to ho
Ghazal
Dil mein umang aur irada koi to ho
Khaleel Mamoon