dil mein tere KHulus samoya na ja saka
patthar mein is gulab ko boya na ja saka
baqi hain is pe ab bhi purane ghamon ke aks
chehra to aansuon se bhi dhoya na ja saka
phulon ke jism chhedne dalon se aaj tak
KHushbu ko barchhiyon mein piroya na ja saka
kya tarjumani-e-gham-e-duniya karen ki jab
fan mein KHud apna gham bhi samoya na ja saka
shab-KHun ki rasm aisi paDi ahl-e-shahr mein
logon se lamha bhar ko bhi soya na ja saka
aankhon ki bastiyon mein bhi kya qaht-e-ashk tha
chaha 'kamal' roen to roya na ja saka
Ghazal
Dil mein tere KHulus samoya na ja saka
Hasan Akbar Kamal