اردو हिंदी
Dil mein rakkha tha sharar-e-gham ko aansu jaan ke | Shaahi Shayari
dil mein rakkha tha sharar-e-gham ko aansu jaan ke

Ghazal

Dil mein rakkha tha sharar-e-gham ko aansu jaan ke

Zuhair Kanjahi

;

dil mein rakkha tha sharar-e-gham ko aansu jaan ke
han magar dekhe ajab andaz is tufan ke

apni majburi ke aaine mein pahchana tujhe
yun to kitne hi wasile the teri pahchan ke

zaKHm KHun-alud hain aansu dhuan dete hue
ye suhane se namune hain tere ehsan ke

dard-o-gham ke tapte sahra ki kaDakti dhup mein
so gaya hun main teri yaadon ki chadar tan ke

dekhiye kab tak haqiqat tak rasai ho 'zuhair'
chand taron tak to ja pahunche qadam insan ke