dil mein rahna kabhi KHwabon ke nagar mein rahna
tum jahan rahna mohabbat ke safar mein rahna
KHair-maqdam ke liye aaunga main bhi ek din
tum abhi silsila-e-sham-o-sahar mein rahna
waqt samton ke tayyun ko badal sakta hai
tum mere sath mohabbat ke safar mein rahna
moajiza ye bhi hai is daur ke fankaron ka
aag se khelna aur mom ke ghar mein rahna
fikr-e-shair ke darichon se guzar kar dekho
kitna dushwar hai logon ki nazar mein rahna
gharq hone se bache kitne safine 'gauhar'
kaam aaya meri kashti ka bhanwar mein rahna
Ghazal
Dil mein rahna kabhi KHwabon ke nagar mein rahna
Gauhar Usmani