dil mein poshida tap-e-ishq-e-butan rakhte hain
aag hum sang ki manind nihan rakhte hain
tazgi hai suKHan-e-kuhna mein ye baad-e-wafat
log aksar mere jine ka guman rakhte hain
bha gai kaun si wo baat buton ki warna
na kamar rakhte hain kafir na dahan rakhte hain
misl-e-parwana nahin kuchh zar-o-mal apne pas
hum faqat tum pe fida karne ko jaan rakhte hain
mahfil-e-yar mein kuchh baat na nikli munh se
kahne ko shama ki manind zaban rakhte hain
ho gaya zard paDi jis ki hasinon pe nazar
ye ajab gul hain ki tasir-e-KHizan rakhte hain
ewaz-e-mulk-e-jahan mulk-e-suKHan hai 'nasiKH'
go nahin hukm-e-rawan taba-e-rawan rakhte hain
Ghazal
Dil mein poshida tap-e-ishq-e-butan rakhte hain
Imam Bakhsh Nasikh