اردو हिंदी
Dil mein jab bhi kabhi duniya se malal aata hai | Shaahi Shayari
dil mein jab bhi kabhi duniya se malal aata hai

Ghazal

Dil mein jab bhi kabhi duniya se malal aata hai

Khurshid-ul-islam

;

dil mein jab bhi kabhi duniya se malal aata hai
kitne hi zohra-jabinon ka KHayal aata hai

shama jalti hai to parwanon ka aata hai KHayal
aur bujhti hai to bujhne pe malal aata hai

nok-e-har-KHar nazar aati hai kyun tishna-e-KHun
dasht-e-pur-KHar mein kya koi ghazal aata hai

ain hijran mein bhi milti hai kabhi lazzat-e-wasl
ain lazzat mein bhi lazzat pe zawal aata hai