dil mein ek lahr si uThi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
kuchh to nazuk mizaj hain hum bhi
aur ye choT bhi nai hai abhi
shor barpa hai KHana-e-dil mein
koi diwar si giri hai abhi
bhari duniya mein ji nahin lagta
jaane kis chiz ki kami hai abhi
tu sharik-e-suKHan nahin hai to kya
ham-suKHan teri KHamushi hai abhi
yaad ke be-nishan jaziron se
teri aawaz aa rahi hai abhi
shahr ki be-charagh galiyon mein
zindagi tujh ko DhunDti hai abhi
so gae log us haweli ke
ek khiDki magar khuli hai abhi
tum to yaro abhi se uTh baiThe
shahr mein raat jagti hai abhi
waqt achchha bhi aaega 'nasir'
gham na kar zindagi paDi hai abhi
Ghazal
Dil mein ek lahr si uThi hai abhi
Nasir Kazmi