اردو हिंदी
Dil mein ho aas to har kaam sambhal sakta hai | Shaahi Shayari
dil mein ho aas to har kaam sambhal sakta hai

Ghazal

Dil mein ho aas to har kaam sambhal sakta hai

Hasan Nayeem

;

dil mein ho aas to har kaam sambhal sakta hai
har andhere mein diya KHwab ka jal sakta hai

ishq wo aag jo barson mein sulagti hai kabhi
dil wo patthar jo kisi aan pighal sakta hai

har nirasha hai liye hath mein aasha bandhan
kaun janjal se duniya ke nikal sakta hai

jis ne sajan ke liye apne nagar ko chhoDa
sar uTha kar wo kisi shahr mein chal sakta hai

mera mahbub hai wo shaKHs jo chahe to 'naim'
sukhi Dali ko bhi gulshan mein badal sakta hai