dil mein hamare ab koi arman nahin raha
wo ehtimam-e-gardish-e-dauran nahin raha
pesh-e-nazar wo KHusraw-e-KHuban nahin raha
meri hayat-e-shauq ka saman nahin raha
samjha raha hun yun dil-e-muztar ko hijr mein
wo kaun hai jo gham se pareshan nahin raha
dekha hai main ne gesu-e-kafir ka mojaza
tar-e-nafas bhi mera musalman nahin raha
ashkon ke sath sath kuchh arman nikal gae
bechainiyon ka dil mein wo tufan nahin raha
ai chaarasaz sai-e-musalsal fuzul hai
tera mariz qabil-e-darman nahin raha
us ki hayat us ke liye maut ai 'aziz'
jis par ki us nigah ka ehsan nahin raha
Ghazal
Dil mein hamare ab koi arman nahin raha
Aziz Warsi