dil manta nahin hai manane ke baad bhi
karta hai un ko yaad bhulane ke baad bhi
paiman ki nazr ho gae chain o sukun, qarar
lekin nibha nahin hai nibhane ke baad bhi
ek lafz yaad tha mujhe tark-e-wafa magar
bhula hua hun Thokaren khane ke baad bhi
taskin-e-dil nasib nahin hai to kya hua
hona yahi hai pyar jatane ke baad bhi
bujhti nahin hai tishnagi didar-e-yar ki
nazron se un ke lakh pilane ke baad bhi
ab bhi hai hum ko ahl-e-chaman bas unhin se pyar
is dil ko bar bar dukhane ke baad bhi
Ghazal
Dil manta nahin hai manane ke baad bhi
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman