dil le ke hamara jo koi talib-e-jaan hai
hum bhi ye samajhte hain ki ji hai to jahan hai
har ek ke dukh-dard ka ab zikr-o-bayan hai
mujh ko bhi ho ruKHsat mere bhi munh mein zaban hai
is ishq ke hai tu hi saza-war ki har ek
dil de ke tere nam ko juya-e-nishan hai
juinda-e-har-chiz hai yabinda jahan mein
juz umr-e-guzishta ki wo DhunDo to kahan hai
piri jo tu jawe to jawani se ye kahna
KHush rahiyo mari jaan tu jidhar hai jahan hai
pahuncha na koi murgh kabhu apne chaman tak
juz tair-e-hasrat ki wo yan baal-fishan hai
tujh se to kisu tarah mera kuchh nahin chalta
juz KHun ki aankhon se shab o roz rawan hai
saqi tu nazar kijiyo Tuk subh-e-chaman ko
is pir ke jalwe ka bhala koi jawan hai
'sauda' ka tere dasht mein tiflan se hai ye haal
jidhar wo khaDa howe to jun sang-e-nishan hai
Ghazal
Dil le ke hamara jo koi talib-e-jaan hai
Sauda Mohammad Rafi