dil laga lete hain ahl-e-dil watan koi bhi ho
phul ko khilne se matlab hai chaman koi bhi ho
surat-e-haalat hi par baat karni hai agar
phir muKHatab ho koi bhi anjuman koi bhi ho
hai wahi la-hasili dast-e-hunar ki muntazir
aaKHirash sar phoDta hai kohkan koi bhi ho
shaeri mein aaj bhi milta hai 'nasir' ka nishan
DhunDte hain hum use bazm-e-suKHan koi bhi ho
aadaten aur hajaten 'basir' badalti hain kahan
raqs bin rahta nahin taus ban koi bhi ho
Ghazal
Dil laga lete hain ahl-e-dil watan koi bhi ho
Basir Sultan Kazmi