dil ko tarz-e-nigah-e-yar jatate aae
tir bhi aae to be-par ki uDate aae
baadshahon ka hai darbar dar-e-pir-e-mughan
saikDon jate gae saikDon aate aae
chhup ke bhi aae mere ghar to wo darbanon ko
apni pazeb ki jhankar sunate aae
roz-e-mahshar jo bulae gae diwana-e-zulf
beDiyan pahne hue shor machate aae
kya kahenge koi mahshar mein jo puchhega 'amir'
kyun na bigDi hui baaton ko banate aae
Ghazal
Dil ko tarz-e-nigah-e-yar jatate aae
Ameer Minai