اردو हिंदी
Dil ko rahin-e-lazzat-e-darman na kar sake | Shaahi Shayari
dil ko rahin-e-lazzat-e-darman na kar sake

Ghazal

Dil ko rahin-e-lazzat-e-darman na kar sake

Azam Chishti

;

dil ko rahin-e-lazzat-e-darman na kar sake
hum un se bhi shikayat-e-hijran na kar sake

is tarah phunk mera gulistan-e-arzu
phir koi tere baad ise viran na kar sake

mahngi thi is qadar tere jalwon ki raushni
hum apni ek sham firozan na kar sake

bichhDe rahe to aur bhi ruswa karenge log
tum bhi ilaj-e-gardish-e-dauran na kar sake

dil un ke hath se bhi gaya hum se bhi gaya
shayad wo pas-e-KHatir-e-mehman na kar sake

un par bhi aashkar ho kyun apne dil ka haal
hum is mata-e-dard ko arzan na kar sake

'azam' hazar bar luTe rah-e-ishq mein
lekin kabhi shikayat-e-dauran na kar sake