dil ko miTa ke dagh-e-tamanna diya mujhe
ai ishq teri KHair ho ye kya diya mujhe
mahshar mein baat bhi na zaban se nikal saki
kya jhuk ke us nigah ne samjha diya mujhe
main aur aarzu-e-visal-e-pari-ruKHan
is ishq-e-sada-lauh ne bahka diya mujhe
har bar yas hijr mein dil ki hui sharik
har martaba umid ne dhoka diya mujhe
allah re tegh-e-ishq ki barham-mazahiyan
mere hi KHun-e-shauq mein nahla diya mujhe
KHush hun ki husn-e-yar ne KHud apne hath se
ek dil-fareb dagh-e-tamanna diya mujhe
duniya se kho chuka hai mera josh-e-intizar
aawaz-e-pa-e-yar ne chaunka diya mujhe
dawa kiya tha zabt-e-mohabbat ka ai 'jigar'
zalim ne baat baat pe taDpa diya mujhe
Ghazal
Dil ko miTa ke dagh-e-tamanna diya mujhe
Jigar Moradabadi