dil ko mamur karo jazb-o-asar se pahle
naqsh-e-manzil chamak uTThenge safar se pahle
lamha-e-fikr se saqi ki murawwat ke liye
bazm-e-rindan mein chale jam kidhar se pahle
garmi-e-ishq ne baKHsha hai ye aalam warna
husn bedar na tha meri nazar se pahle
rifaten kaun-o-makan ki bhi simaT aati hain
kis ko malum tha ye sajda-e-dar se pahle
daman-e-mizhgan ke shab-tab sitaron ki qasam
ek hasin subh ka aalam tha sahar se pahle
lab bhi betab hain izhaar-e-haqiqat ke liye
dastan sun lo magar dida-e-tar se pahle
kahkashan-saz kiya qadmon ko main ne warna
kaun waqif tha teri rahguzar se pahle
lazzat dard farishton ko 'raza' kya malum
na hua ishq ka aazar bashar se pahle

Ghazal
Dil ko mamur karo jazb-o-asar se pahle
Raza Jaunpuri