dil ko laTka liya hai gesu mein
jab wo baiThen hain aa ke pahlu mein
DabDabaate hi aankhen pathrai
kya hi hasrat bhari thi aansu mein
sar-kashi ki jo bu-e-gesu ne
chhup raha mushk naf-e-ahu mein
zindagi bhar karenge us ki talash
chal basenge isi takabu mein
dard-e-dil rui se na sekwana
aag hai is taraf ke pahlu mein
kaun kahta hai KHal-e-mushkin hai
dil hai kisra ka taq-e-abru mein
bazm mein un ki jab gae hain hum
itr bhar bhar diya hai chullu mein
bulbulon mein hamara dil hoga
ruh hogi gulon ki KHushbu mein
dil to tha iKHtiyar se bahar
ab jigar bhi nahin hai qabu mein
bahr-e-gham mein marenge Dub ke hum
qabr ek din banegi Tapu mein
KHun rulati hain ankhDiyan teri
ek hi hain ye donon jadu mein
huren passang ki karengi hawas
mil wo baiThenge jis taraazu mein
kis ko ghash aa gaya jo chiDkoge
kyun bhara hai gulab chullu mein
aalam-e-wajd dil ko rahta hai
mast hain nara-ha-e-yahu mein
ai 'sharaf' jab maza hai rone ka
niklen laKHt-e-jigar bhi aansu mein
Ghazal
Dil ko laTka liya hai gesu mein
Agha Hajju Sharaf