dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle
us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle
dil tha shab-zad use kis ki rifaqat milti
KHwab tabir se chhupta raha pahle pahle
pahle pahle wahi andaz tha dariya jaisa
pas aa aa ke palaTta raha pahle pahle
aankh aainon ki hairat nahin jati ab tak
hijr ka ghao bhi us ne diya pahle pahle
khel karne ko bahut the dil-e-KHwahish-dida
kyun hawa dekh jalaya diya pahle pahle
umr-e-ainda ke KHwabon ko pyasa rakkha
fasla panw pakaDta raha pahle pahle
naKHun-e-be-KHabari zaKHm banata hi raha
ku-e-wahshat mein to rasta na tha pahle pahle
ab to us shaKHs ka paikar bhi gul-KHwab nahin
jo kabhi mujh mein tha mujh jaisa tha pahle pahle
ab wo pyasa hai to har bund bhi puchhe nisbat
wo jo dariyaon pe hansta raha pahle pahle
wo mulaqat ka mausam nahin aaya ab ke
jo sar-e-KHwab sanwarta raha pahle pahle
gham ka dariya meri aankhon mein simaT kar puchhe
kaun ro ro ke bichhaDta raha pahle pahle
ab jo aankhen huin sahra to khula har manzar
dil bhi wahshat ko tarasta raha pahle pahle
main thi diwar to ab kis ka hai saya tujh par
aisa sahra-zada chehra na tha pahle pahle
Ghazal
Dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle
Kishwar Naheed