dil ki mayus tamannaon ko mar jaane do
dard ko aaKHiri manzil se guzar jaane do
main ne kab saghar-o-sahba se kiya hai inkar
nashsha-e-baada-e-hasti to utar jaane do
jis ki ai ahl-e-chaman ki hai lahu se tamir
ab wo shiraaza-e-gulshan na bikhar jaane do
chaar tinkon ki bhi tamir hai koi tamir
fasl-e-gul aaegi rakh lenge bikhar jaane do
lazzat-e-gham se taDapne mein maza aata hai
lazzat-e-gham se tabiat meri bhar jaane do
inqalab aaega koi ki bahaar aaegi
KHal-o-KHad chehra-e-giti ke nikhar jaane do
hum se badle hue tewar hain zamane ke 'safir'
us ne dekhi hai hamari bhi nazar jaane do

Ghazal
Dil ki mayus tamannaon ko mar jaane do
Mohammad Abbas Safiir