dil ki kya qadr ho mehman kabhi aae na gae
is makan mein tere paikan kabhi aae na gae
aap ishq-e-gul-o-bulbul ki rawish kya jaanen
andarun-e-chamanistan kabhi aae na gae
hum ne ghar apna hi wahshat mein bayaban samjha
bhul kar su-e-bayaban kabhi aae na gae
phir bhi karte hain bayan mulk-e-adam ka ahwal
jite ji hazrat-e-insan kabhi aae na gae
samjhen wo kya ki hain kis haal mein aasuda-e-KHak
jo sar-e-gor-e-ghariban kabhi aae na gae
rakh liya ishq mein ashkon ne bharam rone ka
ye guhar ta sar-e-mizhgan kabhi aae na gae
qadr kya ahl-e-zamana ko hamari ho 'rashid'
hum kahin ban ke suKHan-dan kabhi aae na gae
Ghazal
Dil ki kya qadr ho mehman kabhi aae na gae
Rasheed Rampuri