dil ki bisat kya thi jo sarf-e-fughan raha
ghar mein zara si aag ka kitna dhuan raha
shab bhar KHayal-e-gesu-e-ambar-fishan raha
mahka hua shamim se sara makan raha
kya kya na kawishon pe meri aasman raha
bijli girai mujh pe na jab aashiyan raha
mahshar bhi koi dard hai jo uTh ke rah gaya
shikwa bhi koi gham hai jo dil mein nihan raha
KHurshid aasman pe raha tu zamin pe hai
mizan-e-husn mein tera palla giran raha
jine mein kya maza jo nahin maut ka yaqin
marne mein lutf kya hai jo wo bad-guman raha
kasrat hijab-e-dida-e-arif kabhi nahin
zarron mein ek mehr ka jalwa ayan raha
bimar-e-hijr maut se uTh kar lipaT gaya
wade pe aaya jab koi tera guman raha
dil bhi gaya jigar bhi gaya jaan bhi gai
main phir bhi dekhta hi teri shoKHiyan raha
ai 'shola' kya tabiat-e-nazuk pe zor dun
qadr-e-suKHan rahi na koi qadr-dan raha
Ghazal
Dil ki bisat kya thi jo sarf-e-fughan raha
Shola Aligarhi