dil ki baat na mani hoti ishq kiya kyun piri mein
apni marzi bhi shamil hai apni be-tauqiri mein
dard uTha to reza dil ka gosha-e-lab par aan jama
KHush hain koi naqsh to ubhra bare be-taswiri mein
qaid mein gul jo yaad aaya to phul sa daman chaak kiya
aur lahu phir roe goya bhule nahin asiri mein
jaane wale chale gae par lamha lamha un ki yaad
dukh-mele mein ungli thame sath chali dil-giri mein
tauq gale ka panw ki beDi aahan-gar ne kaT diye
apne aap se bahar nikle zor kahan zanjiri mein
shukr hai jitni umr guzari nan-o-namak ki fikr na thi
hath ka takiya KHak ka bistar hasil rahe faqiri mein

Ghazal
Dil ki baat na mani hoti ishq kiya kyun piri mein
Tauseef Tabassum