اردو हिंदी
Dil ki aag kahan le jate jalti bujhti chhoD chale | Shaahi Shayari
dil ki aag kahan le jate jalti bujhti chhoD chale

Ghazal

Dil ki aag kahan le jate jalti bujhti chhoD chale

Qaisar-ul-Jafri

;

dil ki aag kahan le jate jalti bujhti chhoD chale
banjaron se Darne walo lo hum apni basti chhoD chale

aage aage chiKH raha hai sahra ka ek zard safar
dariya jaane sahil jaane hum to kashti chhoD chale

miTTi ke ambar ke niche Dub gaya mustaqbil bhi
diwaron ne dekha hoga bachche taKHti chhoD chale

duniya rakkhe chahe phenke ye hai paDi zambil-e-suKHan
hum ne jitni punji joDi ratti ratti chhoD chale

sari umr ganwa di 'qaisar' do gaz miTTi hath lagi
kitni mahngi chiz thi duniya kitni sasti chhoD chale